Showing posts with label *Meer Taqi Meer. Show all posts
Showing posts with label *Meer Taqi Meer. Show all posts

Wednesday, 28 November 2018

GUL-O-BULBUL BAHAR MEI DEKHA


Gul-o-bulbul bahar mei dekha
Ek tujh ko hazar mei dekha

Jal gaya dil safed hain aankhen
ye to kuchh intizar mei dekha

Jaisa muztar tha zindagi mei dil
Wahin main ne qarar mei dekha

Aable ka bhi hona daman-gir
Tere kuche ke khaar mei dekha

Tiira aalam hua ye roz-e-siyah
Apne dil ke ghubar mei dekha

Zabh kar main kaha tha marta huun
Dam nahin mujh shikar mei dekha

Jin balaon ko 'Meer' sunte the
Un ko is rozgar mei dekha

GUL SHARM SE BAH JAEGA GULSHAN MEI HO KAR AAB SE


Gul sharm se bah jaega gulshan mei ho kar aab sa
Burqe se gar nikla kahin chehra tira mahtab sa

Gul-e-barg ka ye rang hai marjan ka aisa dhang hai
Dekho na jhumke hai pada vo hont laal-e-nab sa

Vo maya-e-jan to khain paida nahin jon kimiya
Main shauq ki ifrat se betab huun simab sa

Dil taab hi laaya na tuk ta yaad rahta ham-nashin
Ab aish roz-e-vasl ka hai ji mei bhula khvab sa

Sannahate mei jaan ke hosh-o-havas-o-dam na tha
Asbab saara le gaya aaya tha ik sailab sa

Ham sar-kashi se muddaton masjid se bach bach kar chale
Ab sajde hi mei guzre hai qad jo hua mehrab sa

Thi ishq ki vo ibtida jo mauj si uthhi kabhu
Ab dida-e-tar ko jo tum dekho to hai girdab sa

Bahke jo ham mast aa gae baar masjid se utha
Vaaiz ko maare khauf ke kal lag gaya jullab sa

Rakh haath dil par 'Meer' ke daryaft kar kya haal hai
Rahta hai aksar ye javan kuchh in dinon betab sa

GUL KO MAHBUB HAM-QAYAS KIYA


Gul ko mahbub ham-qayas kiya
Farq nikla bahut jo baas kiya

Dil ne ham ko misal-e-aaina
Ek aalam ka ru-shanas kiya

Kuchh nahin sujhta hamen us bin
Shauq ne ham ko be-havas kiya

Ishq mei ham hue na divane
Qais ki aabru ka paas kiya

Daur se charkh ke nikal na sake
Zof ne ham ko murtas kiya

Subh tak shama sar ko dhunti rahi
Kya patinge ne iltimas kiya

Tujh se kya kya tavaqqoen thiin hamen
So tere zulm ne niras kiya

Aise vahshi kahan hain ai khuban
'Meer' ko tum abas udaas kiya

GILA NAHIN HAI HAMEN APNI JAN-GUDAZI KA


Gila nahin hai hamen apni jan-gudazi ka
Jigar pe zakhm hai us ki zaban-darazi ka

Samand-e-naz ne us ke jahan kiya pamal
Vahi hai ab bhi use shauq tark taazi ka

Sitam hain qahr hain launde sharab-khane ke
Utaar lete hain amama har namazi ka

Ulat-palat meri ah-e-sahar ki kya hai kam
Agar khayal tumhen hove neza-bazi ka

Batao ham se koi aan tum se kya bigdi
Nahin hai tum ko saliqa zamana-sazi ka

Khuda ko kaam to saunpe hain main ne sab lekin
Rahe hai khauf mujhe vaan ki be-niyazi ka

Chalo ho rah-e-muafiq kahe mukhalif ke
Tariq chhod diya tum ne dil-navazi ke

Kaso ki baat ne aage mere na paaya rang
Dilon mei naqsh hai meri sukhan-tarazi ka

Basan-e-khak ho pamal rah-e-khalq ai 'Meer'
Rakhe hai dil mei agar qasd sarfarazi ka

KAB TAK TU IMTIHAN MEI MUJH SE JUDA RAHEGA


Kab tak tu imtihan mei mujh se juda rahega
Jiita huun to tujhi mei ye dil laga rahega

Yaan hijr aur ham mei bigdi hai kab ki sohbat
Zakhm-e-dil-o-namak mei kab tak maza rahega

Tu barson mei mile hai yaan fikr ye rahe hai
Ji jaega hamara ik-dam do ya rahega

Mere na hone ka to hai iztirab yuun hi
Aaya hai ji labon par ab kya hai ja rahega

Ghafil na rahiyo hargiz nadan dagh-e-dil se
Bhadkega jab ye shoala tab ghar jala rahega

Marne pe apne mat ja salik talab mei us ki
Go sar ko kho rahega par us ko pa rahega

Umr-e-aziz saari dil hi ke gham mei guzri
Bimar ashiqi ye kis din bhala rahega

Didar ka to vaada mahshar mei dekh kar kar

Bimar gham mei tere tab tak to kya rahega

Kya hai jo uth gaya hai par basta-e-vafa hai
Qaid-e-hayat mei hai tu 'Meer' aa rahega

JUZ JURM-E-ISHQ KOI BHI SABI KIYA GUNAH


Juz jurm-e-ishq koi bhi sabit kiya gunah
Nahaq hamari jaan li achhe ho vaah vaah

Ab kaisa chaak chaak ho dil us ke hijr mei
Guththavan to lakht-e-dil se nikalti hai meri aah

Shaam shab-e-visal hui yaan ki is taraf
Hone laga tulua hi khurshid ru-siyah

Guzra main us suluk se dekha na kar mujhe
Barchhi se laag ja hai jigar mei teri nigah

Daman-o-jeb chaak kharabi-o-khastagi
Un se tere firaq mei ham ne kiya nibah

Betabiyon ko saunp na dena kahin mujhe
Ai sabr main ne aan ke li hai teri panah

Khuun-basta baare rahne lagi ab to ye mizha
Aansu ki buund jis se tapakti thi gaah gaah

Gul se shagufta daagh dikhata huun tere tiin
Gar muvafaqat kare hai tanik mujh se sal-o-mah

Gar mana mujh ko karte hain teri gali se log
Kyunkar na jauun mujh ko to marna hai khva-makhvah

Nahaq ulajh pada hai ye mujh se tariq-e-ishq
Jaata tha 'Meer' mei to chala apni raah raah

JUDA JO PAHLU SE VO DILBAR YAGANA HUA


Juda jo pahlu se vo dilbar yagana hua
Tapish ki yaan taiin dil ne ki dard shana hua

Jahan ko fitne se khali kabhu nahin paaya
Hamare vaqt mei to aafat zamana hua

Khalish nahin kaso khvahish ki raat se shayad
Sarishk-e-yas ke parde mei dil ravana hua

Ham apne dil ki chale dil hi mei liye yaan se
Hazar haif sar-e-harf us se va na hua

Khula nashe mei jo pagdi ka pech us ki 'Meer'
Samand-e-naz pe ek aur taziyana hua

JOSHISH-E-ASHQ SE HUUN AATH PAHR PAANI MEI


Joshish-e-ashq se huun aath pahr paani mei
Garche hote hain bahut khauf-o-khatar paani mei

Zabt-e-girya ne jalaya hai daruna saara
Dil achambha hai ki hai sokhta-tar paani mei

Ab-e-shamshir-e-qayamat hai burinda us ki
Ye gavarai nahin paate hain har paani mei

Tab-e-dariya jo ho ashufta to phir tufan hai
Aah balon ko paraganda na kar paani mei

Gharq ab-e-ashk se huun lek uda jaata huun
Juun samak go ki mere duube hain par paani mei

Mardum-e-dida-e-tar mardum-e-abi hain magar
Rahte hain roz o shab o sham-o-sahar paani mei

Haiat ankhon ki nahin vo rahi rote rote
Ab to girdab se aate hain nazar paani mei

Girya-e-shab se bahut aankh dare hai meri
Paanv rukte hi nahin bar-e-digar paani mei

Fart-e-girya se hua 'Meer' tabah apna jahaz
Takhta paare gae kya janun kidhar paani mei

JO YE DIL HAI TO KYA SAR-ANJAM HOGA


Jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga
Ta-khak bhi khaak aram hoga

Mira-ji to ankhon mei aaya ye sunte
Ki didar bhi ek din aam hoga

Na hoga vo dekha jise kabk tu ne
Vo ik baagh ka sarv-andam hoga

Na nikla kar itna bhi be-parda ghar se
Bahut us mei zalim to badnam hoga

Hazaron ki yaan lag gaiin chhat se ankhen
Tu ai maah kis shab-e-lab-e-bam hoga

Vo kuchh janta hoga zulfon mei phasna
Jo koi asiir ta-dam hoga

Jigar chaki nakami duniya hai akhir
Nahin aae jo 'Meer' kuchh kaam hoga

JO TU HI SANAM HAM SE BE-ZAR HOGA


Jo tu hi sanam ham se be-zar hoga
To jiina hamen apna dushvar hoga

Gham-e-hijr rakkhega be-tab dil ko
Hamen kudhte kudhte kuchh azar hoga

Jo ifrat-e-ulfat hai aisa to ashiq
Koi din mei barson ka bimar hoga

Uchatti mulaqat kab tak rahegi
Kabhu to tah-e-dil se bhi yaar hoga

Tujhe dekh kar lag gaya dil na jaana
Ki us sang-dil se hamen pyaar hoga

Laga karne hijran sakhti se sakhti
Khuda jaane kya akhir-e-kar hoga

Yahi hoga kya hoga 'Meer' hi na honge
Jo tu hoga be-yar gham-khvar hoga

JO MAIN NA HUUN TO KARO TARK NAAZ KARNE KO


Jo main na huun to karo tark naaz karne ko
Koi to chahiye ji bhi niyaz karne ko

Na dekho ghuncha-e-nargis ki or khulte mei
Jo dekho us ki mizha nim-baz karne ko

Na soe niind bhar is tangna mei ta na muue
Ki aah ja na thi pa ke daraz karne ko

Jo be-dimaghi yahi hai to ban chuki apni
Dimagh chahiye har ik se saaz karne ko

Vo garm naaz ho to khalq par tarahhum kar
Pukare aap ajal ehtiraz karne ko

Jo aansu aaven to pi ja ki ta rahe parda
Bala hai chashm-e-tar ifsha-e-raz karne ko

Samand naaz se tere bahut hai arsa tang
Tanik to tark kar is tark taaz karne ko

Basan-e-zar hai mera jism-e-zar saara zard
Asar tamam hai dil ke gudaz karne ko

Hanuz ladke ho tum qadar meri kya jaano
Shuur chahiye hai imtiyaz karne ko

Agarche gul bhi numud us ke rang karta hai
Va-lek chahiye hai munh bhi naaz karne ko

Zyada had se thi tabut-e-'Meer' par kasrat
Hua na vaqt musaid namaz karne ko

JO KAHO TUM SO HAI BAJA SAHAB


Jo kaho tum so hai baja sahab
Ham bure hi sahi bhala sahab

Sada-zehni mei nukta-chin the tum
Ab to hain harf-ashna sahab

Na diya rahm tuk buton ke taiin
Kya kiya haae ye khuda sahab

Bandagi ek apni kya kam hai
Aur kuchh tum se kahiye kya sahab

Mehr-afza hai munh tumhara hi
Kuchh ghazab to nahin hua sahab

Khat ke phatne ka tum se kya shikva
Apne talea ka ye likha sahab

Phir gaiin ankhen tum na aan phire
Dekha tum ko bhi vah-va sahab

Shauq-e-rukh yad-e-lab gham-e-didar
Ji mei kya kya mere raha sahab

Bhuul jaana nahin ghulam ka khuub
Yaad khatir rahe mera sahab

Kin ne sun sher-e-'Meer' ye na kaha
Kahiyo phir haae kya kaha sahab

JO IS SHOR SE 'MEER' ROTA RAHEGA


Jo is shor se 'Meer' rota rahega
To ham-saya kaahe ko sota rahega

Main vo rone vaala jahan se chala hun
Jise abr har saal rota rahega

Mujhe kaam rone se aksar hai naseh
Tu kab tak mere munh ko dhota rahega

Bas ai girya ankhen teri kya nahin hain
Kahan tak jahan ko dubota rahega

Mere dil ne vo naala paida kiya hai
Jaras ke bhi jo hosh khota rahega

Tu yuun galiyan ghair ko shauq se de
Hamen kuchh kahega to hota rahega

Bas ai 'Meer' mizhgan se ponchh ansuon ko
Tu kab tak ye moti pirota rahega

JO DEKHO MERE SHER-E-TAR KI TARAF


Jo dekho mere sher-e-tar ki taraf
To maail na ho phir guhar ki taraf

Koi dad-e-dil aah kis se kare
Har ik hai so us fitna-gar ki taraf

Mohabbat ne shayad ki di dil ko aag
Dhuaan sa hai kuchh is nagar ki taraf

Lagin hain hazaron hi aankhen udhar
Ik ashob hai us ke ghar ki taraf

Bahut rang milta hai dekho kabhu
Hamari taraf se sahar ki taraf

Ba-khud kis ko us tab-e-rukhk ne rakha
Kare kaun shams-o-qamar ki taraf

Na samjha gaya abr kya dekh kar
Hua tha meri chashm-e-tar ki taraf

Tapakta hai palkon se khoon muttasil
Nahin dekhte ham jigar ki taraf

Munasib nahin hal-e-ashiq se sabr
Rakhe hai ye daaru zarar ki taraf

Kise manzil-e-dilkash-e-dahr mei
Nahin miil khatir safar ki taraf

Rag-e-jan kab aati hai ankhon mei 'Meer'
Gae hain mizaj us kamar ki taraf

JITE-JI KUCHA-E-DILDAR SE JAAYA NA GAYA


Jite-ji kucha-e-dildar se jaaya na gaya
Us ki divar ka sar se mere saaya na gaya

Kav-kave mizha-e-yar o dil-e-zar-o-nazar
Guth gae aise shitabi ki chhudaya na gaya

Vo to kal der talak dekhta idhar ko raha
Ham se hi hal-e-tabah apna dikhaya na gaya

Garm-rau rah-e-fana ka nahin ho sakta patang
Us se to shama-namat sar bhi kataya na gaya

Pas-e-namus-e-mohabbat tha ki farhad ke paas
Be-sutun samne se apne uthaya na gaya

Khaak tak kucha-e-dildar ki chhani ham ne
Justuju ki pe dil-e-gum-shuda paaya na gaya

Atish-e-tez judai mei yakayak us bin
Dil jala yuun ki tanik ji bhi jalaya na gaya

Mah ne aa samne shab yaad dilaya tha use
Phir vo ta subh mere ji se bhulaya na gaya

Zer-e-shamshir-e-sitam 'Meer' tadapna kaisa
Sar bhi taslim-e-mohabbat mei hilaya na gaya

Ji mei aata hai ki kuchh aur bhi mauzun kiije
Dard-e-dil ek ghazal mei to sunaya na gaya

JIS SAR KO GHURUR AAJ HAI YAAN TAJ-VARI KA


Jis sar ko ghurur aaj hai yaan taj-vari ka
Kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka

Sharminda tere rukh se hai rukhsar pari ka
Chalta nahin kuchh aage tere kabk-e-dari ka

Afaq ki manzil se gaya kaun salamat
Asbab luta raah mei yaan har safari ka

Zindan mei bhi shorish na gai apne junun ki
Ab sang mudava hai is ashufta-sari ka

Har zakhm-e-jigar davar-e-mahshar se hamara
Insaf-talab hai teri bedad-gari ka

Apni to jahan aankh ladi phir vahin dekho
Aaine ko lapka hai pareshan-nazari ka

Sad mausam-e-gul ham ko tah-e-bal hi guzre
Maqdur na dekha kabhu be-bal-o-pari ka

Is rang se jhamke hai palak par ki kahe tu
Tuk'de hai mera ashq aqiq-e-jigari ka

Kal sair kiya ham ne samundar ko bhi ja kar
Tha dast-e-nigar panja-e-mizhgan ki tari ka

Le saans bhi ahishta ki nazuk hai bahut kaam
Afaq ki is kargah-e-shishagari ka

Tuk 'Meer' jigar-e-sokhta ki jald khabar le
Kya yaar bharosa hai charagh-e-sahari ka

JIS JAGAH DAUR-E-JAM HOTA HAI


Jis jagah daur-e-jam hota hai
Vaan ye aajiz mudam hota hai

Ham to ik harf ke nahin mamnun
Kaisa khatt-o-payam hota hai

Tegh nakamon pe na har dam khinch
Ik karishme mei kaam hota hai

Puchh mat aah ashiqon ki maash
Roz unka bhi shaam hota hai

Zakhm bin gham bin aur ghussa bin
Apna khana haram hota hai

Shaikh ki si hi shakl hai shaitan
Jis pe shab ahtelam hota hai

Qatl ko main kaha to uth bola
Aaj kal subh-o-sham hota hai

Akhir aaunga naash par ab aah
Ki ye ashiq tamam hota hai

'Meer' sahab bhi us ke haan the par
Jaise koi ghulam hota hai

JINS-E-GIRAN KO TUJH SE JO LOG CHAHTE HAIN


Jins-e-giran ko tujh se jo log chahte hain
Ve rog apne ji ko nahaq basahate hain

Us mai-kade mei ham bhi muddat se hain va-lekin
Khamyaza khinchte hain har dam jamahate hain

Namus dosti se gardan bandhi hai apni
Jiite hain jab talak ham tab tak nibahte hain

Sahal is qadar nahin hai mushkil-pasandi meri
Jo mujh ko dekhte hain mujh ko sarahte hain

Ve din gae ki raten nalon se kat'te the
Be-dol 'Meer'-sahib ab kuchh karahte hain

JIN KE LIYE APNE TO YUUN JAAN NIKALTE HAIN


Jin ke liye apne to yuun jaan nikalte hain
Is raah mei ve jaise anjaan nikalte hain

Kya tir-e-sitam us ke siine mei bhi tuute the
JIs zakhm ko chirun huun paikan nikalte hain

Mat sahl hamen jaano phirta hai falak barson
Tab khaak ke parde se insan nikalte hain

Kis ka hai qimash aisa gudad bhare hain saare
Dekho na jo logon ke divan nikalte hain

Gah lohu tapakte hai gah lakht-e-dil ankhon se
Ya tukde jigar hi ke har aan nikalte hain

Kariye to gila kis se jaisi thi hamen khvahish
Ab vaise hi ye apne arman nikalte hain

So kaahe ko apni tu jogi ki si pheri hai
Barson mei kabhu idhar ham aan nikalte hain

Un aaina-ruyon ke kya 'Meer' bhi ashiq hain
Jab ghar se nikalte hain hairan nikalte hain

JIN JIN KO THA YE ISHQ KA AZAR MAR GAE


Jin jin ko tha ye ishq ka azar mar gae
Aksar hamare saath ke bimar mar gae

Hota nahin hai us lab-e-nau-khat pe koi sabz
Iisa o khizr kya sabhi yak-bar mar gae

Yuun kanon-kan gul ne na jaana chaman mei aah
Sar ko patak ke ham pas-e-divar mar gae

Sad karvan vafa hai koi puchhta nahin
Goya mata-e-dil ke kharidar mar gae

Majnun na dasht mei hai na farhad koh mei
Tha jin se lutf-e-zindagi ve yaar mar gae

Gar zindagi yahi hai jo karte hain ham asiir
To ve hi ji gae jo giraftar mar gae

Afsos ve shahid ki jo qatl-gah mei
Lagte hi us ke haath ki talvar mar gae

Tujh se do-char hone ki hasrat ke mubtila
Jab ji hue vabal to na-char mar gae

Ghabra na 'Meer' ishq mei us sahal-e-zist par
Jab bas chala na kuchh to mere yaar mar gae
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.