Jo tu hi sanam ham se be-zar hoga
To jiina hamen apna dushvar hoga
Gham-e-hijr rakkhega be-tab dil ko
Hamen kudhte kudhte kuchh azar hoga
Jo ifrat-e-ulfat hai aisa to ashiq
Koi din mei barson ka bimar hoga
Uchatti mulaqat kab tak rahegi
Kabhu to tah-e-dil se bhi yaar hoga
Tujhe dekh kar lag gaya dil na jaana
Ki us sang-dil se hamen pyaar hoga
Laga karne hijran sakhti se sakhti
Khuda jaane kya akhir-e-kar hoga
Yahi hoga kya hoga 'Meer' hi na honge
Jo tu hoga be-yar gham-khvar hoga

 

No comments
Post a Comment