Sunday 14 October 2018

NA HUA NASIB QARAR-E-JAN HAVAS-E-QARAR BHI AB NAHIN


Na hua nasib qarar-e-jan havas-e-qarar bhi ab nahin
Tera intizar bohot kiya tera intizar bhi ab nahin

Tujhe kya khabar mal-o-sal ne hamen kaise zakhm diye yahan
Teri yadgar thi ik khalish teri yadgar bhi ab nahin

Na gile rahe na guman rahe na guzarishen hain na guftugu
Vo nishat-e-vada-e-vasl kya hamen eitbaar bhi ab nahin

Rahe nam-e-rishta-e-raftgan na shikayaten hain na shokhiyan
Koi uzr-khvah to ab kahan koi uzr-dar bhi ab nahin

Kise nazr den dil-o-jan baham ki nahin vo kakul-e-kham-ba-kham
Kise har-nafas ka hisab den ki shamim-e-yar bhi ab nahin

Vo hujum-e-dil-zadgan ki tha tujhe muzhda ho ki bikhar gaya
Tere astane ki khair ho sar-e-rah-e-ghubar bhi ab nahin

Vo jo apni jaan se guzar gae unhen kya khabar hai ki shahr mei
Kisi jan-nisar ka zikr kya koi sogvar bhi ab nahin

Nahin ab to ahl-e-junun mei bhi vo jo shauq-e-shahr mei aam tha
Vo jo rang tha kabhi ku-ba-ku sar-e-ku-e-yar bhi ab nahin

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.