Jab tak dahan-e-zakhm na paida kare koi
Mushkil ki tujh se rah-e-sukhan va kare koi
Aalam ghubar-e-vahshat-e-majnun hai sar-ba-sar
Kab tak khayal-e-turra-e-laila kare koi
Afsurdagi nahin tarab-insha-e-iltifat
Haan dard ban ke dil mei magar ja kare koi
Rone se aai nadim malamat na kar mujhe
Akhir kabhi to uqda-e-dil va kare koi
Chak-e-jigar se jab rah-e-purshish na va hui
Kya faeda ki jaib ko rusva kare koi
Lakht-e-jigar se hai rag-e-har-khar shakh-e-gul
Ta chand bagh-bani-e-sahra kare koi
Nakami-e-nigah hai barq-e-nazara-soz
Tu wo nahin ki tujh ko tamasha kare koi
Har sang o khisht hai sadaf-e-gauhar-e-shikast
Nuqsan nahin junun se jo sauda kare koi
Sar bar hui na vada-e-sabr-azma se umr
Fursat kahan ki teri tamanna kare koi
Hai vahshat-e-tabiat-e-ijaad yas-khez
Ye dard wo nahin ki na paida kare koi
Bekari-e-junun ko hai pitne ka shughl
Jab haath tut jaaen to phir kya kare koi
Husn-e-farogh-e-shamma-e-sukhan dur hai 'Asad'
Pahle dil-e-gudakhta paida kare koi
Vahshat kahan ki be-khudi insha kare koi
Hasti ko lafz-e-mani-e-anqa kare koi
Jo kuchh hai mahv-e-shokhi-e-abru-e-yar hai
Ankhon ko rakh ke taaq pe dekha kare koi
Arz-e-sarishk par hai faza-e-zamana tang
Sahra kahan ki davat-e-dariya kare koi
Wo shokh apne husn pe maghrur hai 'Asad'
Dikhla ke us ko aaina toda kare koi
No comments
Post a Comment