Hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Har taraf ho rahi hai yahi guftugu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Har mata-e-nafas nazr-e-ahang ki ham ko yaran havas thi bohot rang ki
Gul-zamin se ubalne ko hai ab lahu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Avval-e-shab ka mahtab bhi jo chuka sehn-e-mai-khana se ab ufuq mei kahin
Akhir-e-shab hai khali hain jam-o-subu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Koi hasil na tha aarzu ka magar saneha ye hai ab aarzu bhi nahin
Vaqt ki is masafat mei be-arzu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Kis qadar duur se laut kar aae hain yun kaho umr barbad kar aae hain
Tha sarab apna sarmaya-e-justuju tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Ik junun tha ki abad ho shahr-e-jan aur abad jab shahr-e-jan ho gaya
Hain ye sargoshiyan dar-ba-dar ku-ba-ku tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Dasht mei raqs-e-shauq-e-bahar ab kahan bad-paimai-e-divana-var ab kahan
Bas guzarne ko hai mausam-e-hav-hu tum kahan jaoge ham kahan jaenge
Ham hain rusva-kun-e-dilli-o-lucknow apni kya zindagi apni kya aabru
'Meer' dilli se nikalne gae lucknow tum kahan jaoge ham kahan jaenge
No comments
Post a Comment