Jin jin ko tha ye ishq ka azar mar gae
Aksar hamare saath ke bimar mar gae
Hota nahin hai us lab-e-nau-khat pe koi sabz
Iisa o khizr kya sabhi yak-bar mar gae
Yuun kanon-kan gul ne na jaana chaman mei aah
Sar ko patak ke ham pas-e-divar mar gae
Sad karvan vafa hai koi puchhta nahin
Goya mata-e-dil ke kharidar mar gae
Majnun na dasht mei hai na farhad koh mei
Tha jin se lutf-e-zindagi ve yaar mar gae
Gar zindagi yahi hai jo karte hain ham asiir
To ve hi ji gae jo giraftar mar gae
Afsos ve shahid ki jo qatl-gah mei
Lagte hi us ke haath ki talvar mar gae
Tujh se do-char hone ki hasrat ke mubtila
Jab ji hue vabal to na-char mar gae
Ghabra na 'Meer' ishq mei us sahal-e-zist par
Jab bas chala na kuchh to mere yaar mar gae
No comments
Post a Comment