Wednesday, 28 November 2018

JO MAIN NA HUUN TO KARO TARK NAAZ KARNE KO


Jo main na huun to karo tark naaz karne ko
Koi to chahiye ji bhi niyaz karne ko

Na dekho ghuncha-e-nargis ki or khulte mei
Jo dekho us ki mizha nim-baz karne ko

Na soe niind bhar is tangna mei ta na muue
Ki aah ja na thi pa ke daraz karne ko

Jo be-dimaghi yahi hai to ban chuki apni
Dimagh chahiye har ik se saaz karne ko

Vo garm naaz ho to khalq par tarahhum kar
Pukare aap ajal ehtiraz karne ko

Jo aansu aaven to pi ja ki ta rahe parda
Bala hai chashm-e-tar ifsha-e-raz karne ko

Samand naaz se tere bahut hai arsa tang
Tanik to tark kar is tark taaz karne ko

Basan-e-zar hai mera jism-e-zar saara zard
Asar tamam hai dil ke gudaz karne ko

Hanuz ladke ho tum qadar meri kya jaano
Shuur chahiye hai imtiyaz karne ko

Agarche gul bhi numud us ke rang karta hai
Va-lek chahiye hai munh bhi naaz karne ko

Zyada had se thi tabut-e-'Meer' par kasrat
Hua na vaqt musaid namaz karne ko

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.