Jis sar ko ghurur aaj hai yaan taj-vari ka
Kal us pe yahin shor hai phir nauhagari ka
Sharminda tere rukh se hai rukhsar pari ka
Chalta nahin kuchh aage tere kabk-e-dari ka
Afaq ki manzil se gaya kaun salamat
Asbab luta raah mei yaan har safari ka
Zindan mei bhi shorish na gai apne junun ki
Ab sang mudava hai is ashufta-sari ka
Har zakhm-e-jigar davar-e-mahshar se hamara
Insaf-talab hai teri bedad-gari ka
Apni to jahan aankh ladi phir vahin dekho
Aaine ko lapka hai pareshan-nazari ka
Sad mausam-e-gul ham ko tah-e-bal hi guzre
Maqdur na dekha kabhu be-bal-o-pari ka
Is rang se jhamke hai palak par ki kahe tu
Tuk'de hai mera ashq aqiq-e-jigari ka
Kal sair kiya ham ne samundar ko bhi ja kar
Tha dast-e-nigar panja-e-mizhgan ki tari ka
Le saans bhi ahishta ki nazuk hai bahut kaam
Afaq ki is kargah-e-shishagari ka
Tuk 'Meer' jigar-e-sokhta ki jald khabar le
Kya yaar bharosa hai charagh-e-sahari ka
No comments
Post a Comment