Shabnam ba-gul-e-lala na khali z-ada hai
Dagh-e-dil-e-bedard nazar-gah-e-haya hai
Dil khoon-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-didar
Aaina ba-dast-e-but-e-bad-mast hina hai
Shole se na hoti havas-e-shola ne jo ki
Ji kis qadar afsurdagi-e-dil pe jala hai
Timsal mei teri hai vo shokhi ki ba-sad-zauq
Aaina ba-andaz-e-gul aghosh-kusha hai
Qumri kaf-e-khakistar o bulbul qafas-e-rang'
Ai naala nishan-e-jigar-e-sokhta kya hai
Khu ne teri afsurda kiya vahshat-e-gil ko
Mashuqi o be-hauslagi tarfa bala hai
Majburi o dava-e-giraftari-e-ulfat
Dast-e-tah-e-sang-amda paiman-e-vafa hai
Malum huwa hal-e-shahidan-e-guzashta
Tegh-e-sitam aaina-e-tasvir-numa hai
Ai partav-e-khurshid-e-jahan-tab idhar bhi
Saae ki tarah ham pe ajab vaqt pada hai
Na-karda gunahon ki bhi hasrat ki mile daad
Ya rab agar in karda gunahon ki saza hai
Beganagi-e-khalq se be-dil na ho 'Ghalib'
Koi nahin tera to meri jaan khuda hai
No comments
Post a Comment