Jis jagah daur-e-jam hota hai
Vaan ye aajiz mudam hota hai
Ham to ik harf ke nahin mamnun
Kaisa khatt-o-payam hota hai
Tegh nakamon pe na har dam khinch
Ik karishme mei kaam hota hai
Puchh mat aah ashiqon ki maash
Roz unka bhi shaam hota hai
Zakhm bin gham bin aur ghussa bin
Apna khana haram hota hai
Shaikh ki si hi shakl hai shaitan
Jis pe shab ahtelam hota hai
Qatl ko main kaha to uth bola
Aaj kal subh-o-sham hota hai
Akhir aaunga naash par ab aah
Ki ye ashiq tamam hota hai
'Meer' sahab bhi us ke haan the par
Jaise koi ghulam hota hai
No comments
Post a Comment