Jite-ji kucha-e-dildar se jaaya na gaya
Us ki divar ka sar se mere saaya na gaya
Kav-kave mizha-e-yar o dil-e-zar-o-nazar
Guth gae aise shitabi ki chhudaya na gaya
Vo to kal der talak dekhta idhar ko raha
Ham se hi hal-e-tabah apna dikhaya na gaya
Garm-rau rah-e-fana ka nahin ho sakta patang
Us se to shama-namat sar bhi kataya na gaya
Pas-e-namus-e-mohabbat tha ki farhad ke paas
Be-sutun samne se apne uthaya na gaya
Khaak tak kucha-e-dildar ki chhani ham ne
Justuju ki pe dil-e-gum-shuda paaya na gaya
Atish-e-tez judai mei yakayak us bin
Dil jala yuun ki tanik ji bhi jalaya na gaya
Mah ne aa samne shab yaad dilaya tha use
Phir vo ta subh mere ji se bhulaya na gaya
Zer-e-shamshir-e-sitam 'Meer' tadapna kaisa
Sar bhi taslim-e-mohabbat mei hilaya na gaya
Ji mei aata hai ki kuchh aur bhi mauzun kiije
Dard-e-dil ek ghazal mei to sunaya na gaya

 

No comments
Post a Comment