Vo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe
Jo un ki mukhtasar rudad bhi sabr-azma samjhe
Yahan vabastagi vaan barhami kya janiye kyun hai
Na ham apni nazar samjhe na ham un ki ada samjhe
Fareb-e-arzu ki sahl-angari nahin jaati
Ham apne dil ki dhadkan ko teri avaz-e-pa samjhe
Tumhari har nazar se munsalik hai rishta-e-hasti
Magar ye duur ki baten koi nadan kya samjhe
Na puchho ahd-e-ulfat ki bas ik khvab-e-pareshaan tha
Na dil ko raah par laae na dil ka muddaa samjhe


No comments
Post a Comment