Vahin hain dil ke qarain tamam kahte hain
Vo ik khalish ki jise tera naam kahte hain
Tum aa rahe ho ki bajti hain meri zanjiren
Na jaane kya mere divar-o-bam kahte hain
Yahi kanar-e-falak ka siyah-tarin gosha
Yahi hai matla-e-mah-e-tamam kahte hain
Piyo ki muft laga di hai khun-e-dil ki kashid
Giran hai ab ke mai-e-lala-fam kahte hain
Faqih-e-shahr se mai ka javaz kya puchhen
Ki chandni ko bhi hazrat haram kahte hain
Nava-e-murgh ko kahte hain ab ziyan-e-chaman
Khile na phool ise intizam kahte hain
Kaho to ham bhi chalen 'Faiz' ab nahin sar-e-dar
Vo farq-e-martaba-e-khas-o-am kahte hain


No comments
Post a Comment