Ji mei hai yaad rukh-o-zulf-e-siyah-fam bahut
Rona aata hai mujhe har sahar-o-sham bahut
Dast-e-sayyad talak bhi na main pahuncha jiita
Be-qarari ne liya mujh ko tah-e-dam bahut
Ek do chashmak idhar gardish-e-saghar ki mudam
Sar chadhi rahti hai ye gardish-e-ayyam bahut
Dil-kharashi-o-jigar-chaki-o-khoon-afshani
Huun to nakam pe rahte hain mujhe kaam bahut
Rah gaya dekh ke tujh chashm pe ye satar-e-mizha
Saqiya yuun to padhe the main khat-e-jam bahut
Phir na aae jo hue khaak mei ja asuda
Ghaliban zer-e-zamin 'Meer' hai aram bahut
No comments
Post a Comment