Jhumke dikha ke tuur ko jin ne jala diya
Aai qayamat un ne jo parda utha diya
Us fitne ko jaga ke pasheman hui nasim
Kya kya aziiz logon ko un ne sula diya
Ab bhi dimagh-e-rafta hamara hai arsh par
Go asman ne khaak mei ham ko mila diya
Jaani na qadar us guhar shab charagh ki
Dil reza-e-khazaf ki tarah main utha diya
Taqsir jaan dene mei ham ne kabhu na ki
Jab tegh vo buland hui sar jhuka diya
Garmi charagh ki si nahin vo mizaj mei
Ab dil fasurdagi se huun jaise bujha diya
Vo aag ho raha hai khuda jaane ghair ne
Meri taraf se us ke taiin kya laga diya
Itna kaha tha farsh teri rah ke ham hon kaash
So tu ne maar maar ke aa kar bichha diya
Ab ghat'te ghat'te jaan mei taqat nahin rahi
Tak lag chali saba ki diya sa badha diya
Tangi laga hai karne dam apna bhi har ghadi
Kudhne ne dil ke ji ko hamare khapa diya
Ki chashm tu ne baaz ki khola dar-e-sitam
Kis muddai khalq ne tujh ko jaga diya
Kya kya ziyan 'Meer' ne khinche hain ishq mei
Dil haath se diya hai juda sar juda diya
No comments
Post a Comment