Jan-gudaz itni kahan avaz-e-ud-o-chang hai
Dil ke se nalon ka un pardon mei kuchh ahang hai
Ru-o-khal-o-zulf hi hain sumbul-o-sabza-o-gul
Ankhen huun to ye chaman aaina-e-nairang hai
Be-sutun khode se kiya akhir hue sab kar-e-ishq
Baad-azan ai kohkan sar hai tera aur sang hai
Aah un khush-qamaton ko kyunke bar mei laiye
Jin ke hathon se qayamat par bhi arsa-e-tang hai
Ishq mei vo ghar hai apna jis mei se majnun ye ek
Na-khalaf saare qabile ka hamare nang hai
Chashm-e-kam se dekh mat qumri to us khush-qad ko tak
Aah bhi sard gulistan shikast-e-rang hai
Ham se to jaaya nahin jaata ki yaksar dil mei vaan
Do-qadam us ki gali ki raah sau farsang hai
Ek bose par to ki hai sulh par ai zuud ranj
Tujh ko mujh ko itni baat uupar jang hai
Paanv mei chot aane ke pyare bahane jaane de
Pesh-raft aage hamare kab ye uzr lang hai
Fikr ko nazuk khayalon ke kahan pahunche hain yaar
Varna har misraa yahan maashuq shokh-o-sang hai
Sarsari kuchh sun liya phir vah-va kar uth gae
Sher ye kam-fahm samjhe hain khayal bang hai
Sabr bhi kariye bala par 'Meer'-sahib ji kabhu
Jab na tab rona hi kudhna ye bhi koi dhang hai
No comments
Post a Comment