Wednesday 28 November 2018

JAANA KI SHAGHL RAKHTE HO TIR-O-KAMAN SE TUM


Jaana ki shaghl rakhte ho tir-o-kaman se tum
Par mil chala karo bhi kaso khasta-jan se tum

Ham apni chaak jeb ko si rahte ya nahin
Phate mei paanv dene ko aae kahan se tum

Ab dekhte hain khuub to vo baat hi nahin
Kya kya vagarna kahte the apni zaban se tum

Tinke bhi tum thaharte kahin dekhe hain tanik
Chashm-e-vafa rakho na khasan-e-jahan se tum

Jaao na dil se manzar-e-tan mei hai ja yahi
Pachhtaoge uthoge agar is makan se tum

Qissa mera sunoge to jaati rahegi niind
Araam chashm mat rakho is dastan se tum

Khul jaengi phir ankhen jo mar jaega koi
Aate nahin ho baaz mere imtihan se tum

Jitne the kal tum aaj nahin paate itna ham
Har-dam chale hi jaate ho ab-e-ravan se tum

Rahte nahin ho ban gae 'Meer' us gali mei raat
Kuchh raah bhi nikalo sag-o-pasban se tum

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.