Jab ham-kalam ham se hota hai paan kha kar
Kis rang se kare hai baten chaba chaba kar
Thi jumla-tan latafat aalam mei jaan ke ham to
Mitti mei at gae hain is khak-dan mei aa kar
Sai o talab bahut ki matlab ke taiin na pahunche
Na-char ab jahan se baithe hain haath utha kar
Ghairat ye thi ki aaya us se jo main khafa ho
Marte mua pe hargiz udhar phira na ja kar
Qudrat khuda ki sab mei khal-ul-izar aao
Baitho jo mujh kane to parde mei munh chhupa kar
Arman hai jinhon ko ve ab karen mohabbat
Ham to hue pashiman dil ke taiin laga kar
Main 'Meer' tark le kar duniya se haath uthaya
Darvesh tu bhi to hai haq mei mere dua kar
No comments
Post a Comment