Jab junun se hamen tavassul tha
Apni zanjir-e-pa hi ka ghul tha
Bistara tha chaman mei jon bulbul
Naala sarmaya-e-tavakkul tha
Yak nigah ko vafa na ki goya
Mausan-e-gul safir-e-bulbul tha
Un ne pahchan kar hamen maara
Munh na karna idhar tajahul tha
Shahr mei jo nazar pada us ka
Kushta-e-naz ya taghaful tha
Ab to dil ko na taab hai na qarar
Yad-e-ayyam jab tahammul tha
Ja phansa dam-e-zulf mei akhir
Dil nihayat hi be-tammul tha
Yuun gai qad ke kham hue jaise
Umr ik rahrav sar-e-pul tha
Khuub daryaft jo kiya ham ne
Vaqt-e-khush 'Meer' nikhat-e-gul tha
No comments
Post a Comment