Jab naam tera lijiye tab chashm bhar aave
Is zindagi karne ko kahan se jigar aave
Talvar ka bhi maara khuda rakkhe hai zalim
Ye to ho koi gor-e-ghariban mei dar aave
Mai-khana vo manzar hai ki har subh jahan shaikh
Divar pe khurshid ka masti se sar aave
Kya janen ve murghan-e-giraftar-e-chaman ko
Jin tak ki ba-sad-naz nasim-e-sahar aave
Tu subh qadam-ranja kare tuk to hai varna
Kis vaste ashiq ki shab-e-gham basar aave
Har su sar-e-taslim rakhe said-e-haram hain
Vo said-fagan tegh-ba-kaf ta kidhar aave
Divaron se sar marte phirne ka gaya vaqt
Ab tu hi magar aap kabhu dar se dar aave
Vaaiz nahin kaifiyyat-e-mai-khana se agah
Yak jura badal varna ye mindil dhar aave
Sannaa hain sab khvar azaan jumla huun main bhi
Hai aib bada us mei jise kuchh hunar aave
Ai vo ki tu baitha hai sar-e-rah pe zinhar
Kahiyo jo kabhu 'Meer' bala-kash idhar aave
Mat dasht-e-mohabbat mei qadam rakh ki khizar ko
Har gaam pe is rah mei safar se hazar aave
No comments
Post a Comment