Ishq mei zillat hui khiffat hui tohmat hui
Akhir akhir jaan di yaron ne ye sohbat hui
Aks us be-did ka to muttasil padta tha subh
Din chadha kya janun aine ki kya surat hui
Lauh-e-sina par meri sau neza-e-khatti lage
Khastagi is dil-shikasta ki isi babat hui
Kholte hi ankhen phir yaan mundni ham ko padin
Diid kya koi kare vo kis qadar mohlat hui
Paanv mera kalba-e-ahzan mei ab rahta nahin
Rafta rafta us taraf jaane ki mujh ko lat hui
Mar gaya avara ho kar main to jaise gard-bad
Par jise ye vaqia pahuncha oose vahshat hui
Shaad o khush-tale koi hoga kisu ko chaah kar
Main to kulfat mei raha jab se mujhe ulfat hui
Dil ka jaana aaj kal taaza hua ho to kahun
Guzre us bhi sanehe ko ham-nashin muddat hui
Shauq-e-dil ham na-tavanon ka likha jaata hai kab
Ab talak aap hi pahunche ki agar taqat hui
Kya kaf-e-dast ek maidan tha bayaban ishq ka
Jaan se jab us mei guzre tab hamen rahat hui
Yuun to ham ajiz-tarin-e-khalq-e-alam hain vale
Dekhiyo qudrat khuda ki gar hamen qudrat hui
Gosh zad chat-pat hi marna ishq mei apne hua
Kis ko is bimari-e-jankah se fursat hui
Be-zaban jo kahte hain mujh ko so chup rah jaenge
Marke mei hashr ke gar baat ki rukhsat hui
Ham na kahte the ki naqsh us ka nahin naqqash sahl
Chand saara lag gaya tab nim-rukh surat hui
Is ghazal par shaam se to sufiyon ko vajd tha
Phir nahin malum kuchh majlis ki kya halat hui
Kam kisu ko 'Meer' ki mayyat ki haath aai namaz
Naash par us be-sar-o-pa ki bala kasrat hui
No comments
Post a Comment