Ghusse se uth chale ho to daman ko jhaad kar
Jaate rahenge ham bhi gareban phaad kar
Dil vo nagar nahin ki phir abad ho sake
Pachhtaoge suno ho ye basti ujaad kar
Yarab rah-e-talab mei koi kab talak phire
Taskin de ki baith rahun paanv gaad kar
Manzur ho na paas hamara to haif hai
Aae hain aaj duur se ham tujh ko taad kar
Ghalib ki deve quvvat-e-dil is zaiif ko
Tinke ko jo dikhave hai pal mei pahad kar
Niklenge kaam dil ke kuchh ab ahl-e-rish se
Kuchh dher kar chuke hain ye aage ukhad kar
Us fan ke pahalvanon se kashti rahi hai 'Meer'
Bahuton ko ham ne zer kiya hai pachhad kar
No comments
Post a Comment