Ghazal 'Meer' ki kab padhai nahin
Ki halat mujhe ghash ki aai nahin
Zaban se hamari hai sayyad khush
Hamen ab ummiid-e-rihai nahin
Kitabat gai kab ki us shokh ne
Bana us ki gaddi udaai nahin
Nasim aai mere qafas mei abas
Gulistan se do phuul laai nahin
Meri dil-lagi us ke ru se hi hai
Gul-e-tar se kuchh ashnai nahin
Navishte ki khubi likhi kab gai
Kitabat bhi ek ab tak aai nahin
Gila hijr ka sun ke kahne laga
Hamare tumhare judai nahin
Siyah-talai meri zahir hai ab
Nahin shab ki us se ladai nahin
No comments
Post a Comment