Tuesday 20 November 2018

GHAMZE NE US KE CHORI MEI DIL KI HUNAR KIYA


Ghamze ne us ke chori mei dil ki hunar kiya
Us khanuman-kharab ne ankhon mei ghar kiya

Rang ud chala chaman mei gulon ka to kya nasim
Ham ko to rozgar ne be-bal-o-par kiya

Naafe jo thiin mizaj kko avval so ishq mei
Akhir unhin davaon ne ham ko zarar kiya

Marta huun jaan den hain vatan-dariyon pe log
Aur sunte jaate hain ki har ik ne safar kiya

Kya janun bazm-e-aish ki saaqi ki chashm dekh
Main sohbat-e-sharab se aage safar kiya

Jis dam ki tegh-e-ishq khinchi bul-havas kahan
Sun lijiyo ki ham hi se sina-sipar kiya

Dil zakhmi ho ke tujh taiin pahuncha to ham nahin
Is nim-kushta ne bhi qayamat jigar kiya

Hai kaun aap mei jo mile tujh se mast naaz
Zauq-e-khabar hi ne to hamen be-khabar kya

Vo dasht-e-khaufnak raha hai mera vatan
Sun kar jise khizr ne safar se hazar kiya

Kuchh kam nahin hain so'abda-bazon se mai-gusar
Daaru pila ke shaikh ko aadam se khar kiya

Hain charon taraf kheme khade gard-bad ke
Kya janiye junun ne irada kidhar kiya

Luknat teri zaban ki hai sahar jis se shokh
Yak harf-e-nim-gufta ne dil pe asar kiya

Be-sharm mahz hai vo gunahgar jin ne 'Meer'
Abr-e-karam ke samne daman tar kiya

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.