Gham us ko saari raat sunaya to kya hua
Ya roz uth ke sar ko phiraya to kya hua
Un ne to mujh ko jhute bhi puchha na ek baar
Main ne use hazar jataya to kya hua
Khvahan nahin vo kyun hi main apni taraf se yuun
Dil de ke us ke haath bikaya to kya hua
Ab sai kar siphar ki mere muue gae
Us ka mizaj mehr pe aaya to kya hua
Mat ranja kar kisi ko ki apne to e'tiqad
Dil dhaae kar jo kaaba banaya to kya hua
Main said-e-na-tavan bhi tujhe kya karunga yaad
Zalim ik aur tiir lagaya to kya hua
Kya kya duaen mangi hain khalvat mei shaikh yuun
Zahir jahan se haath uthaya to kya hua
Vo fikr kar ki chak-e-jigar paave iltiyam
Naseh jo tu ne jaama sulaya to kya hua
Jiite to 'Meer' un ne mujhe daagh hi rakhha
Phir gor par charagh jalaya to kya hua
No comments
Post a Comment