Gham raha jab tak ki dam mei dam raha
Dil ke jaane ka nihayat gham raha
Husn tha tera bahut alam-fareb
Khat ke aane par bhi ik aalam raha
Dil na pahuncha gosha-e-daman talak
Qatra-e-khun tha mizha par jam raha
Sunte hain Laila ke kheme ko siyah
Us mei Majnu ka magar matam raha
Jama-e-ehram-e-zahid par na ja
Tha haram mei lek na-mahram raha
Zulfen kholin to tu tuk aaya nazar
Umr bhar yaan kam-e-dil barham raha
Us ke lab se talkh ham sunte rahe
Apne haq mei ab-e-haivan sam raha
Mere rone ki haqiqat jis mei thi
Ek muddat tak vo kaghaz nam raha
Subh-e-piri shaam hone aai 'Meer'
Tu na cheta yaan bahut din kaam raha
No comments
Post a Comment