Ghalat hai ishq mei ai bul-havas andesha rahat ka
Rivaj is mulk mei hai dard-o-dagh-o-ranj-o-kulfat ka
Zamin ik safha-e-tasvir be-hoshan se maana hai
Ye majlis jab se hai achhha nahin kuchh rang sohbat ka
Jahan jalve se us mahbub ke yaksar labalab hai
Nazar paida kar avval phir tamasha dekh qudrat ka
Hanuz avara-e-laila hai jan-e-rafta majnun ki
Muue par bhi raha hota nahin vabasta ulfat ka
Harif-e-be-jigar hai sabr varna kal ki sohbat mei
Niyaz-o-naz ka jhagda giro tha ek jurrat ka
Nigah-e-yas bhi is said-e-afgan par ghanimat hai
Nihayat tang hai ai said-e-bismil vaqt fursat hai
Kharabi dil ki is had hai ki ye samjha nahin jaata
Ki abadi bhi yaan thi ya ki virana tha muddat ka
Nigah-e-mast ne us ki lutai khanqa saari
Pada hai barham ab tak karkhana zohd-o-taat ka
Qadam tak dekh kar rakh 'Meer' sar dil se nikalega
Palak se shokh-tar kanta hai sahra-e-mohabbat ka
No comments
Post a Comment