Ghalib ki ye dil-khasta shab-e-hijr mei mar jaae
Ye raat nahin vo jo kahani mei guzar jaae
Hai turfa mufattin-nigah us aaina-ru ki
Ik pal mei kare sainkadon khoon aur mukar jaae
Ne but-kada hai manzil-e-maqsud na kaaba
Jo koi talashi ho tera aah kidhar jaae
Har subh to khurshid tere munh pe chadhe hain
Aisa na ho ye saada kahin ji se utar jaae
Yaqut koi un ko kahe hai koi gul-barg
Tuk hont hila tu bhi ki ik baat thahar jaae
Ham taaza shahidon ko na aa dekhne nazan
Daman ki teri zah kahin lohu mei na bhar jaae
Girye ko mere dekh tuk ik shahr ke bahar
Ik sath hai paani ka jahan tak ki nazar jaae
Mat baith bahut ishq ke azurda dilon mei
Naala kasu mazlum ka tasir na kar jaae
No comments
Post a Comment