Ghair ne ham ko zabh kiya nai taqat hai nai yaara hai
Is kutte na kar ke dileri said-e-haram ko maara hai
Baagh ko tujh bin apne bhaen atish di hai baharan se
Har ghuncha akhgar hai ham ko har gul ek angara hai
Jab tujh bin lagta hai tadapne jaae hai nikla hathon se
Hai jo girah siine mei us ko dil kahiye ya paara hai
Rah-e-hadis jo tak bhi nikle kaun sikhae ham ko phir
Ru-e-sukhan par kis ko de vo shokh bada ayyara hai
Kaam us ka hai khoon-afshani har-dam teri furqat mei
Chashm ko meri aa kar dekh ab lohu ka favvara hai
Baal khule vo shab ko shayad bistar naaz pe sota tha
Aai nasim-e-subh jo idhar phaila ambar saara hai
Kis din daman khinch ke un ne yaar se apne kaam liya
Muddat guzri dekhte ham ko 'Meer' bhi ik nakara hai
No comments
Post a Comment