Garmi se main to atish-e-gham ki pighal gaya
Raton ko rote hi jon sham-e-gul gaya
Ham khasta-dil hain tujh se bhi nazuk-mizaj-tar
Tevri chadhai tu ne ki yaan ji nikal gaya
Garmi-e-ishq maane nashv-o-numa hui
Main vo nihal tha ki uga aur jal gaya
Masti mei chhod dair ko kaabe chala tha main
Laghzish badi hui thi va-lekin sambhal gaya
Saaqi nashe mei tujh se lundha shisha-e-sharab
Chal ab ki dukht-e-tak ka joban to dhal gaya
Har zarra khaak teri gali ki hai be-qarar
Yaan kaun sa sitam-zada maati mei rul gaya
Uryan tani ki shokhi se divangi mei 'Meer'
Majnun ke dasht-e-khar ka daman bhi chal gaya
No comments
Post a Comment