Ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar
Ghairat se rah gae ham yaksu kabab ho kar
Us ru-e-atishin se burqa sarak gaya tha
Gul bah gaya chaman mei khajlat se aab ho kar
Kal raat mund gai thiin bahunton ki ankhen ghash se
Dekha kiya na kar to sarmast khvab ho kar
Parda rahega kyunkar khurshid-e-khavari ka
Nikle hai vo bhi ab be-naqab ho kar
Yak qatra aab main ne is daur mei piya hai
Nikla hai chashm-e-tar se vo khoon-e-nab ho kar
Aa baitha tha suufi har subh mai-kade mei
Shukr-e-khuda ki nikla vaan se kharab ho kar
Sharm-o-haya kahan tak hain 'Meer' koi din ke
Ab to mila karo tum tuk be-hijab ho kar
No comments
Post a Comment