Fikr hai maah ke jo shahr-badar karne ki
Hai saza tujh pe ye gustakh nazar karne ki
Kah hadis aane ki us ke jo kiya shadi marg
Nama-bar kya chali thi ham ko khabar karne ki
Kya jali jaati hai khubi hi mei apni ai shama
Kah patange ke bhi kuchh sham-o-sahar karne ki
Ab ke barsat hi ke zimme tha aalam ka vabal
Main to khaai thi qasam chashm ke tar karne ki
Phool kuchh lete na nikle the dil-e-sad-para
Tarz sikhi hai meri tukde jigar karne ki
Un dinon nikle hai aghusta ba-khoon raton ko
Dhun hai naale ko kaso dil mei asar karne ki
Ishq mei tere guzarti nahin bin sar patke
Surat ik ye rahi hai umr basar karne ki
Karvani hai jahan umr aziiz apni 'Meer'
Rah hai darpesh sada us ko safar karne ki
No comments
Post a Comment