Gae ji se chhote buton ki jafa se
Yahi baat ham chahte the khuda se
Vo apni hi khubi pe rahta hai nazan
Maro ya jiyo koi us ki bala se
Koi ham se khulte hain band us qaba ke
Ye uqde khulenge kaso ki dua se
Pasheman tauba se hoga adam mei
Ki ghafil chala shaikh lutf-e-hava se
Na rakhi meri khaak bhi us gali mei
Kudurat mujhe hai nihayat saba se
Jigar-sui-e-mizhgan khincha jaae hai kuchh
Magar dida-e-tar hain lohu ke pyase
Agar chashm hai to vahi ain haq hai
Taassub tujhe hai ajab ma-siva se
Tabib subuk-e-aql hargiz na samjha
Hua dard-e-ishq aah duuna dava se
Tak ai muddai chashm-e-insaf va kar
Ki baithe hain ye qafiye kis ada se
Na shikva shikayat na harf-o-hikayat
Kaho 'Meer' ji aaj kyun ho khafa se
No comments
Post a Comment