Fasl-e-khizan mei sair jo ki ham ne ja-e-gul
Chhani chaman ki khaak na tha naqsh-e-pa-e-gul
Allah re andalib ki avaz-e-dil-kharash
Ji hi nikal gaya jo kaha un ne haae gul
Maqdur tak sharab se rakh ankhdiyon mei rang
Ye chashmak-e-pyala hai saaqi hava-e-gul
Ye dekh siina daagh se rashk-e-chaman hai yaan
Bulbul sitam hua na jo tu ne bhi khaae gul
Bulbul hazar ji se kharidar us ki hai
Ai gul-farosh kariyo samajh kar baha-e-gul
Nikla hai aisi khaak se kis sada-ru ki ye
Qabil darud bhejne ke hai safa-e-gul
Baare sarishk surkh ke daghon se raat ko
Bistar par apne sote the ham bhi bichhae gul
Aa andalib sulh karen jang ho chuki
Le ai zaban-daraz tu sab kuchh siva-e-gul
Gulchen samajh ke chuniyo ki gulshan mei 'Meer' ke
Lakht-e-jigar pade hain nahin bargha-e-gul
No comments
Post a Comment