Faqirana aae sada kar chale
Ki myaan khush raho ham dua kar chale
Jo tujh bin ja jiine ko kahte the ham
So is ahd ko ab vafa kar chale
Shifa apni taqdir hi mei na thi
Ki maqdur tak to dava kar chale
Pade aise asbab payan-e-kar
Ki na-char yuun ji jala kar chale
Vo kya chiiz hai aah jis ke liye
Har ik chiiz se dil utha kar chale
Koi na-umidana karte nigah
So tum ham se munh bhi chhupa kar chale
Bahut aarzu thi gali ki teri
So yaan se lahu mei nahan kar chale
Dikhai diye yuun ki be-khud kiya
Hamen aap se bhi juda kar chale
Jabin sajda karte hi karte gai
Haq-e-bandagi ham ada kar chale
Parastish ki yaan tak ki ai but tujhe
Nazar mei sabhon ki khuda kar chale
Jhade phool jis rang gulbun se yuun
Chaman mei jahan ke ham aa kar chale
Na dekha gham-e-dostan shukr hai
Hamin daagh apna dikha kar chale
Gaii umr dar-band-e-fikr-e-ghazal
So is fan ko aisa bada kar chale
Kahen kya jo puchhe koi ham se 'Meer'
Jahan mei tum aae to kya kar chale
No comments
Post a Comment