Falak ne gar kiya rukhsat mujhe sair-e-bayaban ko
Nikala sar se mere jaae mu khar-e-mughilan ko
Vo zalim bhi to samjhe kah rakha hai ham ne yaran ko
Ki goristan se gaden juda ham ahl-e-hijran ko
Nahin ye bed-e-majnun gardish-e-gardun-e-gardan ne
Banaya hai shajar kya janiye kis mu pareshan ko
Hue the jaise mar jaate par ab to sakht hasrat hai
Kiya dushvar nadani se ham ne kar-e-asan ko
Kahin nasl aadmi ki uth na jaave is zamane mei
Ki moti ab-e-haivan jante hain ab-e-insan ko
Tujhe gir chashm-e-ibrat hai to andhi aur bagule se
Tamasha kar ghubar-afshani khak-e-azizan ko
Libas-e-mard-e-maidan jauhar-e-zati kifayat hai
Nahin piroe poshish maarke mei tegh-e-uryan ko
Hava-e-abr mei garmi nahin ho tu na ho saaqi
Dam afsurda kar de munjamid rashhat-e-baran ko
Jalen hain kab ki mizhgan ansuon ki garm-joshi se
Us ab-e-chashm ki joshish ne atish di nistan ko
Vo kafir ishq ka hai dil ki meri bhi rag-e-jan tak
Sada zunnar hi tasbih hai us na-musalman ko
Ghurur-e-naz se ankhen na kholin is jafa-ju ne
Mila paanv tale jab tak na chashm-e-sad-ghazalan ko
Na si chashm-e-tama khvan-e-falak par kham-dasti se
Ki jam-e-khun de hai har sahar ye apne mehman ko
Zi-bas sirf junun mere hua aahan ajab mat kar
Na ho gar halqa-e-dar khana-e-zanjir-sazan ko
Bane na-vaqif-e-shadi agar ham bazm-e-ishrat mei
Dahan-e-zakhm-e-dil samjhe jo dekha ru-e-khandan ko
Nahin reg-e-ravan majnun ke dil ki be-qarari ne
Kiya hai muztarib har zarra-e-gard-e-bayaban ko
Kisi ke vastte rusva-e-alam ho pe ji mei rakh
Ki maara jaae jo zahir kare us raz-e-pinhan ko
Giri padti hai bijli hi tabhi se khirman gul par
Tak ik hans mere rone par ki dekhe tere dandan ko
Ghurur-e-naz-e-qatil ko liye ja hai koi puchhe
Chala to saunp kar kis ke taiin us said-e-be-jan ko
Vo tukhm-e-sokhta the ham ki sar-sabzi na ki hasil
Milaya khaak mei daana namat hasrat se dahqan ko
Hua huun ghuncha-e-pazhmurda akhir fasl ka tujh bin
Na de barbad hasrat kusta-e-sar-dar-gareban ko
Gham-o-andoh-o-be-tabi alam be-taqati hirman
Kahun ai ham-nashin ta-chand gham-ha-e-firavan ko
Gul-o-sarv-o-saman gir jaaenge mat sair-e-gulshan kar
Mila mat khaak mei un baagh ke raana javanan ko
Bahut roe jo ham ye astin rakh munh pe ai bijli
Na chashm-e-kam se dekh us yadgar-e-chashm-e-giryan ko
Mizaj us vaqt hai ik matla-e-taza pe kuchh maail
Ki be-fikr sukhan banti nahin hargiz sukhan-dan ko
No comments
Post a Comment