Falak karne ke qabil asman hai
Ki ye pirana-sar jahil javan hai
Gae un qafilon se bhi uthi gard
Hamari khaak kya janen kahan hai
Bahut na-mehrban rahta hai yaani
Hamare haal par kuchh mehrban hai
Hamen jis jaae kal ghash aa gaya tha
Vahin shayad ki us ka astan hai
Mizha har ik hai us ki tez navak
Khamida bhaun jo hai zorin kaman hai
Use jab tak hai tir-andazi ka shauq
Zabuni par meri khatir nishaan hai
Chali jaati hai dhadkan hi mei jaan bhi
Yahin se kahte hain jaan ko ravan hai
Usi ka dam bhara karte rahenge
Badan mei apne jab tak nim-jan hai
Pada hai phool ghar mei kaahe ko 'Meer'
Jhamak hai gul ki barq-e-ashiyan hai
No comments
Post a Comment