Ek parvaz ko bhi rukhsat-e-sayyad nahin
Varna ye kunj-e-qafas baiza-e-faulad nahin
Shaikh-e-uzlat to tah-e-khak bhi pahunchegi baham
Muft hai sair ki ye alam-e-ijad nahin
Daad le chhodon main sayyad se apni lekin
Zoaf se mere taiin taqat-e-faryad nahin
Kyuun hi maazur bhi rakh yuun to samajh dil mei shaikh
Ye qadah-khvar mere qabil-e-irshad nahin
Be-sutun bhi hai vahi aur vahi ju-e-shir
Tha namak shohrat-e-shirin ka so farhad nahin
Kya kahun 'Meer' faramosh kiya un ne tujhe
Main to taqrib bhi ki par tu use yaad nahin
No comments
Post a Comment