Duzdida nigah karna phir aankh milana bhi
Is laut'te daman ko paas aa ke uthana bhi
Pamali-e-ashiq ko manzur rakhe jaana
Phir chaal kadhab chalna thokar na lagana bhi
Burqa ko utha dena par aadhe hi chehre se
Kya munh ko chhupana bhi kuchh jhamki dikhana bhi
Dekh ankhen meri nichi ik marna pathhar bhi
Zahir mei satana bhi parde mei jatana bhi
Sohbat hai ye vaisi hi ai jaan ki asaish
Sohbat aan ke sona bhi phir munh ko chhupana bhi
No comments
Post a Comment