Do din se kuchh bani thi so phir shab bigad gai
Sohbat hamari yaar se bedhab bigad gai
Vashud kuchh aage aah si hoti thi dil ke taiin
Iqlim-e-ashiqi ki hava ab bigad gai
Garmi ne dil ki hijr mei us ke jala diya
Shayad ki ehtiyat se ye tab bigad gai
Khat ne nikal ke naqsh dilon ke utha diye
Surat buton ki achhi jo thi sab bigad gai
Baham suluk tha to uthate the narm garm
Kaahe ko 'Meer' koi dabe jab bigad gai
No comments
Post a Comment