Dil par khuun hai yahan tujh ko guman hai shisha
Shaikh kyuun mast hua hai to kahan hai shisha
Shisha-bazi to tanik dekhne aa ankhon ki
Har palak par mere ashkon se ravan hai shisha
Ru-safedi hai naqab-e-rukh shor-e-masti
Rish-e-qazi ke sabab pamba-dahan hai shisha
Manzil-e-masti ko pahunche hai unhen se aalam
Nisha-e-mai-balad va sang-e-nishan hai shisha
Darmiyan halqa-e-mastan ke shab us ki ja thi
Daur-e-saghar mei magar pir-e-mughan hai shisha
Ja ke puchha jo main ye kar-e-gah-e-mina mei
Dil ki surat ka bhi ai shisha-garan hai shisha
Kahne laage ki kidhar phirta hai bahka ai mast
Har tarah ka jo tu dekhe hai ki yaan hai shisha
Dil hi saare the pe ik vaqt mei jo kar ke gudaz
Shakl shishe ki banae hain kahan hai shisha
Jhuk gaya dekh ke main 'Meer' use majlis mei
Chashm-e-bad-dur trahdar javan hai shisha
No comments
Post a Comment