Dil saaf ho to jalva-gah-e-yar kyuun na ho
Aaina ho to qabil-e-didar kyuun na ho
Aalam tamam us ka giraftar kyuun na ho
Vo naz-pesha ek hai ayyar kyuun na ho
Mustaghyana to jo kare pahle hi suluk
Ashiq ko fikr-e-aqibat-kar kyuun na ho
Rahmat ghazab mei nisbat-e-barq-o-sahab hai
Jis ko shuur ho to gunahgar kyuun na ho
Dushman to ik taraf ki sabab rashk ka hai yaan
Dar ka shighaf-o-rakhna-e-divar kyuun na ho
Ayat-e-haq hain saare ye zarrat-e-kaenat
Inkar tujh ko hove so iqrar kyuun na ho
Har-dam ki taaza marg-e-judai se tang huun
Hona jo kuchh hai aah so yak-bar kyuun na ho
Mu-e-safed ham ko kahe hai ki ghafilan
Ab subh hone aai hai bedar kyuun na ho
Nazdik apne ham ne to sab kar rakha hai sahal
Phir 'Meer' is mei murdan-e-dushvar kyuun na ho
No comments
Post a Comment