Yuun bahar aai hai is baar ki jaise qasid
Kucha-e-yar se be-nail-e-maram aata hai
Har koi shahr mei phirta hai salamat-daman
Rind mai-khane se shaista-khiram aata hai
Havas-e-mutrib-o-saqi mei pareshan aksar
Abr aata hai kabhi mah-e-tamam aata hai
Shauq valon ki hazin mahfil-e-shab mei ab bhi
Amad-e-subh ki surat tera naam aata hai
Ab bhi elan-e-sahar karta hua mast koi
Dagh-e-dil kar ke farozan sar-e-sham aata hai
No comments
Post a Comment