Friday, 5 October 2018

ZAKHM PAR CHHIDKEN KAHAN TIFLAN-E-BE-PARVA NAMAK


Zakhm par chhidken kahan tiflan-e-be-parva namak
Kya maza hota agar patthar mei bhi hota namak

Gard-e-rah-e-yar hai saman-e-naz-e-zakhm-e-dil
Varna hota hai jahan mei kis qadar paida namak

Mujh ko arzani rahe tujh ko mubarak hojiyo
Nala-e-bulbul ka dard aur khanda-e-gul ka namak

Shor-e-jaulan tha kanar-e-bahr par kis ka ki aaj
Gard-e-sahil hai ba-zakhm-e-mauja-e-dariya namak

Daad deta hai mere zakhm-e-jigar ki vaah vaah
Yaad karta hai mujhe dekhe hai vo jis ja namak

Chhod kar jaana tan-e-majruh-e-ashiq haif hai
Dil talab karta hai zakhm aur mange hain aaza namak

Ghair ki minnat na khinchunga pai-e-taufir-e-dard
Zakhm misl-e-khanda-e-qatil hai sar-ta-pa namak

Yaad hain 'Ghalib' tujhe vo din ki vajd-e-zauq mei
Zakhm se girta to main palkon se chunta tha namak

Is amal mei aish ki lazzat nahin milti 'Asad'
Zor nisbat mai se rakhta hai azara ka namak

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.