Ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota
Agar aur jiite rahte yahi intizaar hota
Teri vaade par jiye ham to ye jaan jhuut jaana
Ki khushi se mar na jaate agar eitbaar hota
Teri nazuki se jaana ki bandha tha ahd boda
Kabhi tu na tod sakta agar ustuvar hota
Koi mere dil se puche tere tir-e-nim-kash ko
Ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
Ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh
Koi charasaz hota koi gham-gusar hota
Rag-e-sang se tapakta vo lahu ki phir na thamta
Jise gham samhajh rahe ho ye agar sharar hota
Gham agarche jan-gusil hai pa kahan bachen ki dil hai
Gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgar hota
Kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
Huwe ham jo mar ke rusva huwe kyun na gharq-e-dariya
Na kabhi janaza uthta na kahin mazar hota
Oose kaun dekh sakta ki yagana hai vo yakta
Jo dui ki bu bhi hot to kahin do-char hota
Ye masail-e-tasavvuf ye tera bayan 'Ghalib'
Tujhe ham vali samhajhte jo na bada-khvar hota


No comments
Post a Comment