Tamiz-e-zishti-o-neki mei laakh baten hain
Ba-aks-e-aaina yak-fard-e-sada rakhte hain
Ba-rang-e-saya hamen bandagi mei hai taslim
Ki dagh-e-dil ba-jabin-e-kushada rakhte hain
Ba-zahidan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnar
Sar-e-ba-pa-e-but-e-na-nihada rakhte hain
Mauf-e-be-huda-goi hain nasehan-e-aziz
Dil-e-ba-dast-e-nigare nadada rakhte hain
Ba-rang-e-sabza azizan-e-bada-zaban yak-dast
Hazar tegh-e-ba-zahr-ab-dada rakhte hain
Adab ne saupi hamen surma-sai-e-hairat
Zaban-e-basta-o-chashm-e-kushada rakhte hain
No comments
Post a Comment