Wo sue la lazaar phirte hain
Tere din ae nahar phirte hain
Jo tere dar se yar phirte hain
Dar-ba-dar yu hi khaar phirte hain
Phool kya dekhu meri aankhon mei
Dashte taibah ke khaar phirte hain
Jaan hai jaan kya nazar aae
Kyu adu gird-e-gaar phirte hain
Unke ima pe dono bagho par,
Khaile lailo nahar phirte hain
Wardiya bolte hain har kaare
Pehra dete suvaar phirte hain
Laakhon qudsi hain kaam-e-khidmat par
Laakhon girde mazaar phirte hain
Har charag-e-mazaar par qudsi
Kaise parva-navar phirte hain
Baaye raste na ja musafir sunn
Maal hain rahbaar phirte hain
Jaag sunsaan ban hai raat aai
Gurg behre shikaar phirte hain
Rakhiye jaise hain khanazad hain ham
Mol ke aibdaar phirte hain
Us gali ka gada hu main jisme
Maangte taajdaar phirte hain
Hae gafil wo kya jagah hai jahan
Paanch jaate hain chaar phirte hain
Koi kyun pooche teri baat Raza
Tujhse kute Hazaar phirte hain

No comments
Post a Comment