Pesh-e-haq muzhda shaf'at ka sunate jaenge
Aap rote jaenge hum ko hasaate jaenge
Dil nikal jae ki jaa hai aah! kin aankhon se wo
Hum se piyason ke liye darya bahate jaenge
Kushtgange garmiye mahshar ko wo jaane maseeh
Aaj daaman ki hawa de kar jilate jaenge
Gul khilega aaj ye unki nasime-faiz se
Khoon rote aaenge hum muskurate jaenge
Haan chalo hasrat zadon sunte hain wo din aaj hai
Thi khabar jiski ke wo jalva dikhate jaenge
Kuchh khabar bhi hai faqiron aaj wo din hai ke wo
Na'mat-e-khuld apne sadqe mei lutate jaenge
Khaak uftado bass un ke aane hi ki der hai
Khud wo gir kar sajdah mei tum ko utha'te jaenge
Wus'aten di hain khuda ne daaman-e-mahboob ko
Jurm khulte jaenge aur wo chupate jaenge
Lo wo aae muskurate hum asiron ki taraf
Khirman-e-isiyan pe bijle girate jaenge
Sokhta jaano pe wo pur josh-e-rahmat aae hain
Aabe kausar se lagi dil ki bujhate jaenge
Aaftaab unka hi chamkega jab auron ke chiraag
Sarsare joshe bala se jilmilate jaenge
Paae quba pul se guzrenge teri aawaaz par
Rabii sallim ki sada par wajd laate jaenge
Sarware dil lije apne naatwano ki khabar
Nafso shaitaan sayyida kab tak dabate jaenge
Hushar tak dalenge ham pe daaish-e-maula ki dhoom
Misle faarish najd ke qile girate jaenge
Khaak ho jaen adoo kar magar ham to Raza
Dum mei jab tak dum hai zikr unn ka sunate jaenge

No comments
Post a Comment