Monday, 15 October 2018

WO KAMAAL-E-HUSN-E-HUZOOR HAI


Wo kamaal-e-husn-e-huzoor hai ke gumaan-e-naqs jahan nahin
Yahi phool khaar se duur hai yahi shama hai ke dhua nahin

Do jahan ki behtariyan nahin ke amaniiye dilo jaaan nahi
Kaho kya hain wo jo yaha nahi magar ik nahi ki wo haan nahin

Ba-khuda khuda ka yahi hai darr nahin aur koi maffar maqar
Joe wahan se ho yakeen aake ho jae yahan nahin tou wahan nahin

Main nisaar tere kalaam par mili yun to kisi ko zabaan nahi
Wo sikhan hai jisme sukhan na ho wo bayaan hai jiska bayan nahin

Hain unhi ke noor se sab aayan hain unhi ke jalvo mei sab nihaan
Bane subha taabishe mehar se rahe peshe mehar ye jaan nahin

Wahi noor-e-haq wahi jille rab hain unhi se sab hain unhi ka sab
Nahi unki milk mei aasmaan ki zameen nahi ki jamaan nahin

Tere aage yun haen dabbe lache fu-saha arab ke barre barre
Koi jaane muh mei zubaan nahin nahin balke jism mei jaan nahin

Sar-e-arsh par hai tere guzar dil-e-farsh par hai tere nazar
Malakut-o-mulk mein koi shae nahin wo tujh pe ayan nahin

Karun tere naam pe jaan fida na buss ek jaan do jahan fida
Do jahan se bhi nahin ji bhara karun kya karodon jahan nahin

Karun made ahl-e-doel Raza pare iss bala mein mere bala
Mei gada hun pane kareem ke maera deen para-e-naan nahin

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.