Wasfe rukh unka kiya karte hai, shar-he wash-shamso zuha karte hain
Unki hum madd-ho sana karte hain, jinko mahmood kaha karte hain
Maahe shak gashta ki soorat dekho, kaap kar mehr ki raj'at dekho
Mustafa pyare ki qudrat dekho, kaise aijaz hua karte hain
Tu hai khurshid-e-risalat pyare, chhup gaye teri ziya mei taare
Ambiya aur hai sab mah-paare, tujhse hi noor liya karte hain
Ay balaa be khirdi-e-kuffar rakhte hain aise ke haq se inkaar
Ki gawahi ho gar usko darkaar be zabaan bol utha karte hain
Apne maula ki hai bas shaan-e-azeem, jaanwar bhi kare jinki taazeem
Sang karte hai adab se taslim, ped sajde mei gira karte hain
Rif'ate zikr hai tera hissa, dono aala mei hai tera charcha
Murge firdous par az hamde khuda teri hi madho sana karte hain
Ungliya paayi wo pyari-pyari jinse dariya-e-karam hai jaari
Josh par aati hai jab gamkhvari, tishne sairaab hua karte hain
Aasti rehmat-e-aalam ulte kamare paak pe daaman baandhe
Girne waalo ko kucha-e-dohzakh se saaf alag kheech liya karte hain
Jab sabaa aati taibah se idhar khilkhila padti hai kaliyan yaksar
Phool jaama se nikal kar baahar rangi ki sana karte hain
Tu hai wo badshah-e-kouno makaan ki malak haft falak ke har aan
Tere maula se shahe arsh aywan teri daulat ki dua karte hain
Jiske jalwe se uhud hai taban maadane noor hai uska daaman
Hum bhi chand pe ho kar kurbaan dil-e-sangi ki jila karte hain
Kyu na zeba ho tujhse taajwari tere hi dam ki hai sab jalva gari
Malako jinho bashar huuro pari jaan sab tujh pe fida karte hain
Toot padti hai balaye jin par, jinko milta nahi koi yaavar
Har taraf se wo pur armaan fir kar unke daaman mei chupa karte hain
Lab par aa jaata hai naam-e-janaab muh mei ghul jaata hai shahde nayab
Wajd mei ho ke hum ay jaan betaab apne chum liya karte hain
Lab pe kis muh se gham-e-ulfat layen kya bala dil hai alam jiska sunaye
Hum to unke kafe paa par mitt jae unke darr par jo mita karte hain
Apne dil ka hai unhi se aaram soupe hai apne unhi ko sab kaam
Lou lagi hai ke ab us darr ke ghulam chara-e-dard-e-Raza karte hain

No comments
Post a Comment